Kuch Iss Tarah Lyrics - 1921 | Zareen Khan

Kuch Iss Tarah Lyrics from 1921 feat Zareen Khan & Karan Kundrra is sung by Arnab Dutta. Its music is composed by Harish Sagane and lyrics are written by Shakeel Azmi.

Song - Kuch Iss Tarah
Movie - 1921
Singers - Arnab Dutta
Musicians - Harish Sagane
Lyricists - Shakeel Azmi

Kuch Iss Tarah Lyrics - Arnab Dutta

Kuch iss tarah, kuch iss tarah,
Ae raat thamm zara kuch iss tarah,

Kuch iss tarah, kuch iss tarah,
Ae raat thamm zara kuch iss tarah.
Do jism se ek jaan mein,
Dhal jayein hum zara kuch iss tarah.

Yeh jo chaand ik lakeer sa hai aasman par,
Yoon hi aankh mein meri rahe chamakta raat bhar,
Ae baadlon zara si tumse ilteja hai yeh,
Fanna na hon ummeed ke sitare doob kar.

Kuch iss tarah, kuch iss tarah,
Ae raat thamm zara kuch iss tarah,
Do jism se ek jaan mein,
Dhal jayein hum zara kuch iss tarah.

Alvida humko kahe muskura ke maut bhi,
Thodi si saasein chhupa le seene mein kahin,
Jee le aa ik raat mein umra bhar ki zindagi,
Koyi bhi pal reh na jaye jeene mein kahin.

Kuch iss tarah, kuch iss tarah,
Ae raat thamm zara kuch iss tarah,
Do jism se ek jaan mein,
Dhal jayein hum zara kuch iss tarah.

Rooh ki parwaz pe hain parinde ishq ke,
Humko chahat ki nazar se dekh lo aasman,
Aankh mein jo ahq hai,
Chaand ko bhi rashk hai,
Likh rahe hain pyar ki hum aisi dastaan.

Kuch iss tarah, kuch iss tarah,
Ae raat thamm zara kuch iss tarah,
Do jism se ek jaan mein,
Dhal jayein hum zara kuch iss tarah.

Read Also: Saareyan Nu Chaddeya Lyrics – ADHYAYAN SUMAN

Facebook Comments